Saturday 29 March, 2008


kanha! hum chahay tera daras
tujhe aata nhin hum per taras
yeh aankhein aansu chalkaati
mann adheer ho jaata
magar tu karunamaye
apni karuna kahey nhi barsaata
kyon khud ko kayi pardo main chupata
ab aa bhi jaa mohan
kanha aaye hum tere darbaar
kripa karo karunamaye ikk baar
tere darshan bin jee nhi bharta
de do darshan mere banke bihari ikk baar
kanha pyare ab khol bhi do bandh kiwad
kab tak karvaogay hame intzaar
teri raah main palkein bichay bethe hain
kab aaye mere praan preetam
yeh aas lagaye bethe hain
kripa karo mere shyam
kam se kam do apna ehsaas
aa jao na mohan ikk baar