Thursday 31 July, 2008
dil bekraar hain dhadkan ko bas ab tera intzaar hain
kabhi to aaogay shyam pyare
kabhi to krogay humse aankhein chaar
ab aa bhi jao yun na hume stao
tujhe maloom hain ke hume kitna hain intzaar
hr ghari hr kshan dil main rehta hain tera hi dhyaan
ke ab bhi kanhiya aayega ab bhi aayega
magar hr kshan beeta jaata hain
tera saakaar darshan nhi ho paata hain
maloom hain wo tej nhi hum main jo tere roop ko shaar paaye
magar tu de shakti itni ke hum tujhe kabhi na bhool paaye
Friday 18 July, 2008
Taras rahey naina mere
Darshan ko tere
Aaja mohan ikk baar
Teri yaadon main
Paagal huyi jaati hu
Shalak jaate ain aansu
Inn assuan ko apna charan sparash to dila
Mohan mere ikk baar to aa
Karey kyon aaja dil tujhe milne ko
Tere gale lag khoob ronay ko
Mohan mere ikk baar aa jaao
Ekk baar apni mohini murat dikhao
Labels:
कान्हा,
कृष्ण.राधा,
मधुसुदन,
माधव,
मोहन,
राधे कृष्ण,
श्याम
Saturday 12 July, 2008
Kab aaogay praan pyare
Jaantay ho tum ke
Tumhi ho dil-o jaan humare
Firr bhi itna statay ho mohan
Saamne aane se yun itraatay ho mohan
Ikk din to tumhe aana hi hoga
Humari darshano ki pyasi nigaho ko
Daras apna dikhana hi hoga
Magar wo pal jaane kis pal aayega
Jab hongay daras tumhare
Kab aaogay mohan humare!
Thursday 3 July, 2008
Kal raat baadlon main dekha ikk ajab njara hain
Chaand ke noor main aks tumhara hain
Taaron se saji iss rajni main
Bas ikk mohan tera shara hain
Baadlon main kahin tum chup rahey thay
Humse aankh micholi tum khel rahey thay
Aankh khulti bandh hoti Najar dhoondti tumhe
Kaan taraste sunne ko teri madhur bansuri
Oh saawle ghanshyam aa jao ab
De jao apne deedar!!!!
Chandani raat taaron ka saath
Phoolon ki sugandh
Van lataye,svaran mandal
Yamuna ji ka teer,svash nirmal neer
Kamal pushap,gulab sugandhi har aur chayi
Ek kona nhin jiss se chandani achuti najar aayi
Iss main kanha ka saath
Gopiyon ke dholak ki taal
Aur saath main baaje mridang
Aur kayi kayi saaj
Iss main krte banwari hr gopi ke mann ki poori aas.
कृष्ण कृष्ण
Shabad nhin rahey mere pass mohan
Ke tujhe kuch kahun
Na wo baat rhi mujh main
Jo tujh bin kisi aur ko kahun
Ab to tere bin rehna bhi hua mushkil
Ikk ikk pal teri yaadon
Ke sang hain gujartay
Mere dil ka haal to bas tumhi ho jaantay
Ab to alfaaj bhi chodd gaye saath humara
Ab to tujh bin na koi kashti na kinara
Subscribe to:
Posts (Atom)