Wednesday 25 June, 2008
sawariya
Thursday 5 June, 2008
Krishna
Tera roop saanwla dekh kr main to jaun balihari
Kajrare tere naino par to main jaun wari
Teri madhur muskaan par main haari
Tujhe dekh dekh jee mera bhare na
Tujhe dekh palkein bandh krne ko jee krein na
Tujhe apna na kahu yeh dil maanay na
Tere siva kuch jaanay na
Oh vrindavan ke banke bihari
Main nhi tere pyar ke kabil
Yeh baat mann main aati hain
Tujhe dhoondti hain hr taraf pyasi aakhiyan
Naino se neer jhar jhar behta hain
Tujhe bulau din rain
Tere bin na aaye moko chain
Mohe apne charno se lgaa lo
Mohe tumhe bulana sikha do
Ek baar aa jao
Tum hr taraf ho mere
Mujh main bhi tum hi ho
Firr bhi iss bechain dil ko chain nhi
Inn pyasi aakhiyon ko din rain chain nhi
Yeh dhoondti firti tumhe hain