Thursday 3 July, 2008


Chandani raat taaron ka saath
Phoolon ki sugandh
Van lataye,svaran mandal
Yamuna ji ka teer,svash nirmal neer
Kamal pushap,gulab sugandhi har aur chayi
Ek kona nhin jiss se chandani achuti najar aayi
Iss main kanha ka saath
Gopiyon ke dholak ki taal
Aur saath main baaje mridang
Aur kayi kayi saaj
Iss main krte banwari hr gopi ke mann ki poori aas.

No comments: