Thursday 3 July, 2008

कृष्ण कृष्ण


Shabad nhin rahey mere pass mohan

Ke tujhe kuch kahun

Na wo baat rhi mujh main

Jo tujh bin kisi aur ko kahun

Ab to tere bin rehna bhi hua mushkil

Ikk ikk pal teri yaadon

Ke sang hain gujartay

Mere dil ka haal to bas tumhi ho jaantay

Ab to alfaaj bhi chodd gaye saath humara

Ab to tujh bin na koi kashti na kinara

No comments: