Thursday 31 July, 2008


dil bekraar hain dhadkan ko bas ab tera intzaar hain
kabhi to aaogay shyam pyare
kabhi to krogay humse aankhein chaar
ab aa bhi jao yun na hume stao
tujhe maloom hain ke hume kitna hain intzaar
hr ghari hr kshan dil main rehta hain tera hi dhyaan
ke ab bhi kanhiya aayega ab bhi aayega
magar hr kshan beeta jaata hain
tera saakaar darshan nhi ho paata hain
maloom hain wo tej nhi hum main jo tere roop ko shaar paaye
magar tu de shakti itni ke hum tujhe kabhi na bhool paaye

No comments: